Abdul Qadir
Abdul Qadir
Abdul Qadir
Abdul Qadir
Abdul Qadir
Abdul Qadir
Biography of Abdul Qadir
Agar duniya ke top ten leg spinner ke naam poche jayein aur phir is fehrist ko kai bar mukhtasir karaya jaye, tab bhi mujhe yaqen hai ke mukhtasir tareen fehrist mein bhi Pakistan ke maya naz leg break bowler Abdul Qadir ka naam zaroro shamil ho ga. Intehai aala mayar ke wrist spinner ki hesiyat se Abdul Qadir ka sab se bara karnama ye tha ke unhon ne 1980 ki dehai mein jab cricket ki duniya mein fast bowlers chaye howe the aur log dhemi rafter se ball ghomane ko bholte ja rahe the, leg spin ke dam torte howe fan ko “hayat e no” bakhshi. Abdul Qadir ki amad is leye bhi aik tazah hawa ke jhoke ki manind thi ke unhon ne sabit kar deya ke chote run up aur dhemi rafter se bhi esi ball phenki ja sakti hai, jo batsman ko difa oar majbor kar de balke aksar ese out bhi kar dale.
Abdul Qadir 15 September 1955 ko Lahore mein peda howe. Unhon ne school nke bad government college Lahore se mazid talem hasil ki. Cricket ka shoq bachpan hi se tha, unhon ne first class cricket mein Lahore, Punjab aur Habib bank ki numaindagi ki. Abdul Qadir aam tor par right arm leg break gogli bowler jab ke nichle number par ane wale jarehana andaz ke bale baz the.
Test cricket mein Abdul Qadir ne jo sang e meel abor keye wo aaj bhi aik record ka darja rakhte hain. Unhon ne phela test match 1977 mein Lahore ke Qazafi stadium mein England ke khilaf khela tha. Unhon ne 67 test matches mein 32.80 run fi wicket ki osat se 236 wickets hasil kein, un ki behtareen bowling 56 runs ke uwaz 9 wickets thein. Pakistan ka koi dosra spinner tahal test cricket mein un se ziyadah wickets nahi le saka. Abdul Qadir ne 104 aik roza matches mein 132 wickets hasil kein, bahtareen bowling 104 runs ke uwaz 5 wickets rahein. Unhon ne aik roza matches mein do bar aurtest cricket mein 15 martaba aik innings mein 5 ya ziyadah wickets hasil kein.
Abdul Qadir jazbat se bharpor aur dil khol kar performance dene wale crickter the. Jab un ka din hota tha to wo aik tabah kun bowler sabit hote the aur zabardast verity aur control ka muzahira karte. Khas tor par Imran khan ki zere qayadat quomi cricket team mein un ki shamoliyat mein Pakistan ko test aur one day matchon ke aik taqatwar bowling scrod mein tabdel kar deya tha. Apni behtareen salahiyaton ko wo England ke bale bazon ke leye mehfoz rakhte the. Unhon ne England ke khilaf 14 test match khel kar 82 wicket hasil kein. Ye adado shumar Abdul Qadir ki salahyaton ka mun bolta sabot hain. 1980 ke ashre mein Abdul Qadir ne tan tanha duniya e cricket mein wrist spin ke fan ko zinda rakha, wo is art ke mashal bardar the, jo rasta unhon ne banaya tha usi par chalte howe Mushtaq Ahmed aur Anil Komble ne is fan ko age barhaya.
Abdul Qadir ka taluq Lahore ke elaqe dhram pora ke aik mazhabi gharane se hai. Wo muqami masjid ke mazin ke sahabzade hain. Un ke walid Peshawar se hijrat kar ke Lahore mein abase the. Abdul Qadir ki parwarish kattar mazhabi mahol mien hoi. Unhon ne ye batate howe kabhi are na mehsos ki ke apne walid ki qalil amdani ke pesh e nazar kisi zamane mein wo un ka hath batane ke leye moqami market mein sabziyan farokht kia karte the. Duniyawi fatohat ke bawajod unhon ne ai adat kabhi tark na ki wo ye ke safar ho ya hazar wo aik ja namaz hameshah apne pas rakhte hain ta ke jab bhi moqa mile, apne Rab ke hozor sajda e shukar baja laein.
Abdul Qadir ke qarebi dost ab bhi “bao” pukarte hain. Unhen ye naam kyun deya gaya is ka sahi pase manzar to mujhe malom nahi lekin mein ye samajhta hun ke chunke wo har fard se piyar mohabat se pesh ane wale ansan hain aur shaista aur shagufta lehje mein baat karte hain, is leye dost ahbab unhen ahtaraman “bao” kehte hain, albata mujhe itna elm zaroro hai ke Abdul Qadir ko ye laqab un ke dost aur sabiq captan Imran Khan ne deya tha.
Kuch logon ka khayal hai ke abdul Qadir ke pas jesa talent tha, agar wo kisi bahtareen fielding side ke sath khelte to shayad un ka career record mazid behtar hota. Fitness ke masail bhi aksar unhen tang karte rahe. In tamam masail ke bawajo Abdul Qadir ke pas esi command aur verity thi ke wo batsman ke bilkul qareb fielders ka jhamghata laga kar bowling karte aur sirf jidar bale baz hi unhan khul ka khel pate the. Abdul Qadir apne captan ke leye “dream bowler” ka darja rakhte the. Un ki ghomti hoi ball 6 inch se 2 fit tak spin le sakti thi. Bowling karane ka unka apna aik makhsos andaz tha, wo baal ko aik hath se dosre hath mein mutaqil karte howe aur uchalte kodte howe ate aur ball deliver karte.
Dhemi gaindon ki jado gari dekhane par ben ul aqwami satah par bohat se mazamin, kutub aur video films ka muzo bane. Un mein se aik video film game of cricket bhi hai, jo 1983 mein banai gait hi. 1988 mein unhan sadarti tamgha e husn e karkardagi aata kia gaya, 1994 mein “MCC” ka ezazi rukun banaya gay. 1997 mein Abdul Qadir ko “life time achievement” award se nawaza gaya. Koi dosra hota to shayad itne awards milne par fakhar ki chatri tan leta magar Abdul Qadir ka hal ye tha ke jese jese unhan izat milti gai , un ki inkesari bhi barhti chali gai. Wo aksar kaha karte hain ke “main ne apne bozorgon se yehi sekha hai ke agar pur sakun zindagi guzarni hai to takabur ko qarib bhi phatakne na do, jab Khuda kisi shakhs ko ajiz karna chahata hai to us se ajzi chen leta hai.”
Source;urdubiography
No comments:
Post a Comment