Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Dr Abdul Qadeer Khan
Biography of Dr Abdul Qadeer Khan
Dr. Abdul Qadeer Khan was born on 1st April 1936 in Dar-ul-Iqbal ( Bhupal . He could not attend the Matric Examination because of his age. After the separation of Sub continent, he came to Pakistan and graduated in Science from Karachi. After that he did post graduation from technical University in Berlin ( West Germany ). Dr. Abdul qadeer khan received his Master’s degree from technology university Holland in June 1967. He received the degree of PhD in engineering ( physical metallurgy ) from the university of Levin Belgium. Dr. Qadeer was fond of Fishing and Swimming in childhood. He is not only a Scientist. Abdul Qadeer Khan is an honest and caring Pakistani. He looks like very simple Man, but mentally he is very intelligent. Dr. Abdul Qadeer Khan awarded the medal of excellence in 14th August 1989. He is a great personality for our Pakistan. In this page you can see the information about the great scientist of Pakistan Dr .Abdul Qadeer Khan.
Dr. Abdul Qadeer Khan 1st April 1936 ko Bhupal mein paida hue. Barre sagher ki taqseem ke bad wo Pakistan aa gae aur Karachi mein Science mein graduation ke bad 2 saal tak Berlin ( west Germany ) ki technical university mein post graduate training paai. June 1967 mein technology university Holland se MSC ki degree li. Bad azaa isi university ke aalmi shohrat yafta professor W G Berger’s ne inhe apna assistant bana liya. April 1972 mein inho ne university of Levin Belgium se engineering ( physical metallurgy ) mein PhD ki degree hasil ki. Abdul qadeer khan ne ben ul aqwami juraid mein 78 se ziyada scientific paper shaey karwae aur pix of physical metallurgy name kitab tehreer ki. Yeh book 1972 mein Alizewair Holland ne shaey ki thi. Inho ne 4 saal tak physical dynamical research F D aur Holland mein aik expert ki hesiyat se kaam kiya, jo aalmi shohrat ki farm VMF ka zeeli idara hai. Abdul qadeer khan ne bad azaa plant Holland mein aik mahir ki hesiyat se kaam kiya. Yeh hukomat Holland ka aik mushtarka idara hai. Dr.khan ne 2 saal tak research and development group of European economic council Belgium mein union of Dutch industries VNO ki bhi numaiyndegi ki.
1971 ke saneha mashraqi Pakistan aur phir 1974 mein jab India ne atomic blast kiye to dr. abdul qadeer khan ne watan e azeez ki khidmat ke azam ke sath pur kashish mulazmat ko kher bad keh ke Pakistan ke difaa ko naqabil taskheer banane ke aaghaz ka kaam shuru kiya. 1976 mein be saro samani se nuclear research laboratory tameer karne mein koshan ho gae aur ashre se bhi kam arsey mein Pakistan ka naam aalmi atomic map par lane mein kamiyab hue. Difaai technology mein in keg her mamoli karname ne Pakistan ke dushmano ke mukroo azaiym nakaam bana diye. 1981 mein jab sadar e Pakistan Zia Ul Haq Kahota Shareef laae to in ki hairat ki inteha na rahi. Wo tassawur bhi na kar sakte the ke Islamabad ke nazdeek itna barha plant tameer kar diya gaya hai. Wo dr.qadeer se is qadar mutassir hue, ke unho ne is project ko dr.qadeer ke naam se mansookh kar diya. Yeh itna barha khiraaj e tehseen tha ke is ki misaal duniya mein nahi milti. Kisi bhi zinda scientist ke liye yeh aezaaz hai ke wo is par jitna fakhar kare kam hai
Dr.Abdul Qadeer Khan Pakistan ke ilawa England, Canada, aur Japan ki 1 dozen ke qareeb science aur engineering idaron ke rukun bhi ban chuke hain. Inhe in ki khidmat par 14th August 1989 ko hilal imtiaz ka aezaaz bhi diya ja chukka hai. Jo 23 March 1990 mein in ko sadder e Pakistan ne diya. Apne zaati aehwal inho ne kuch yun beyan kiye. In ke walid head master the. In ke chacha magistrate aur dewaan the. MSC ki taleem hasil karne ke bad pehle yeh khayal aaya ke Pakistan wapis chalna chahiye. Phir yeh socha ke wapis gaya to taleem ke shobey mein koi achi job nahi milegi. Behtar hai PHD kar li jae. Phir mujhe fellowship mil gai aur main ne Phd kar li. Isi asnaa mein Holland se mujhe peshkash aai ke wahan aik barhi industry mein aik ache metallurgist ki zarorat hai. Mere professor ne mujhe is mauqe se faida uthane ka mashwara diya. Abhi main Belgium pohncha he tha ke Australia se jawab aa gaya. Magar main ne Holland ko tarjeeh di. Yun qudrat ne us waqt meri zindagi ka rukh mutayyan kar diya tha. Jab mai Holland pohncha to Uranium ki afzodgi ka kaan jari tha. Mujhe bhi is par laga diya gaya. Yahan beshumar mushkilaat ka samna tha. Main ne barhi mehnat ki.
1974 mein Pakistan aaya aur yahan main ne uranium ki afzodgi ka tariqakar bana kar wazeh kiya ke agar hum is tariqe se kaam shuru kar den to INSHA’ALLAH bohat jald is mein maharat hasil kar lenge. Bad azaa Prime Minister of Pakistan Zulfiqar Ali Bhutto ne kaha ke wapis na jaey, bal ke istifaa bhej den. Jis par main ne apni wife se mashwara kiya aur unho ne kaha ke agar aap ko yaqeen hai kw aap Pakistan ki khidmat kar sakte hain, to sir aankhon par mujhe yahan rehne se koi aiteraaz nahi hai. Jis par main ne apne resignation lettet Holland bhijwa diya. Mere liye yeh sahulat bhi thi ke hukomat ne mujhe free hand way diya tha. Ta ke kaam tezi se ho sake. Hum 18, 18 hours kaam karte rahe aur mere sathiyon ka aur mera tajurba bohat kaam aaya aur yun aakhirkar saleha saal ki shab o rooz ki mehnatein rang le aai. Pakistan aik johri quwwat ban gaya, na mumkin, mumkin ho gaya. Wahid Islamic atomic mumlikat Pakistan. Duniya ki 6th johri quwwat. Mautazalzal riyasat ab naqabil taskheer ho gai.
Is mumlikat ka har shehri aik nae azam se, jazbe se sarshar ho gaya. Mayosi ki tareeki chath gai. Magar abhi aazmaiysh baqi thi. Ab qaum ki nahi, us mohsin ki jo mumlikat khudadad Pakistan ka mohsin aazam hai. INSHA’ALLAH yeh tareeki bhi jald chathegi aur har aik ko is ke maqam aur martabe se qaum sarfaraz karegi. Yeh mohsinkash nahi bas zara majboor qaum hai. Magar qadir matlaq to majbool nahi. Hamare mohsin se abhi INSHA’ALLAH humen abhi aur mustafeed hona hai. Dilon ki sadaaien, raaton ki duaae mustajab hongi. Qadir matlaq raah nikalega. Wohi RAB UL AALAMEEN MALIKI YAU MIDDIN hai. Hamara hero jald hamare darmiyan hoga. Fasle mit jaenge. INSHA’ALLAH.
Source;urdubiography
No comments:
Post a Comment