Thursday, February 19, 2015

Biography of Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai

Malala Yousufzai


Biography of Malala Yousufzai


Malala Yousafzai was born on 12th of July, 1997. She belongs to Mingora, the largest City in Pakistan’s Swat Valley. Malala has two younger Brother. Her Father name is Ziauddin Yousafzai, he is a Private School Owner and an Educational activist. Malala Yousafzai is a very innocent, beautiful and intelligent Girl. Malala would like to become a Doctor, her Father encouraged her to become a Politician instead. Her Father has referred to his Daughter as something entirely special.

Malala Yousafzai is a school student from the town of Mingora in Swat District, Khyber Pakhtunkhwa, Northwestern Pakistan. She is known for her Education and Women’s right activism in the Swat Valley. Where the Tehrik-e-Taliban regime had banned girls from attending School in early 2009. During that period, at the Age of 11. She used the pseudonym “ Gul Makai ” so as not to be targeted by the Taliban. The idea for the blog came from her Father.

Malala Yousafzai wrote for the BBC detailing her life under the Taliban regime on 3 January 2009. Malala has since been nominated for several awards, and has won Pakistan’s first National Peace Award and International Children’s Peace Prize ( Runner-up ) in 2011. On 9 October 2012, Malala was shot in the head and neck in an assassination attempt by a Taliban gunman while returning Home on a School Bus. She remain unconscious and in critical condition. In this Page You will read Malala Yousafzai Biography and News In Urdu and Roman Urdu.


Malala Yousafzai Pakistani qaum ki beti 9 October 2012 ko hasbe mamool School se chutti ke bad degar sahelyon ke hamrah school van mein ghar ja rahi thi ke koi pone barah baje ke qareeb jab woh Sharifabad aur gul kadah ke darmiyan wale ilaqe mein pahonch gaye to na maloom naqab poshon ne gari ko roke liya. DIG Malakand Division aur DPO Swat ne media se guftagu kerte huye kaha ke Malala Yousafzai apne school se chutti ke bad dusri sathyon ke himrah school van mein ghar ja rahi thi ke Sado Sharif Police Station ki hadood mein waqa ilaqe Gul kadah ke qareeb do na maloom mosllah naqab poshon ne gari roke ker gari mein Malala Yousafzai ka pucha aur shanakht hone per bad e azan fire khole diya jis ke nateje mein qaumi aman award yafta aur sitara jurat ke liyeh namzad hone wali honahar bachchi Malala Yousuf Zai ser per goli lagne se shadeed zakhmi ho gae jab ke uske sath baithien do bachyan Shazia aur kainat bhi hat aur paon per lag ker zakhmi ho gayein jinhein fori tibi imdad ke leyeh Sado Sharif Hospital muntaqil ker diya gaya

MS Sado Sharif Hospital doctor ke motabiq Malala ko ser per aik goli lagi hai jo ser se nickal ker kandhe mein ja lagi hai aur CT scan ki report ke motabiq iss ka demag bach gaya hai jis ke bais uski halat khatre se bahar batai jati hai. Bad e azan Malala Yousafzai ko Sado sharif hospital mein Nero Surgery unit na hone ki waja se usey Pak fouj heli copter mein Peshawer KCMH muntaqil ker diya giya hai. Jab ke Shazia aur Kainat ko Sado Sharif Hospital mein tabi imdad di ja rahi hai media se guftagu kertey huye majrooha zakhmi bachchi Shazia ne bataya ke school se chutti ke bad woh gari mein jarahey they ke do na maloom naqab poshon ne gari ko raka aur Malala yousuf Zai ka nam pich ker shanakhat per golian chalaien Operation Theater mein Malala ne hospital mein aney ke bad apne walid Ziauddin Yousuf Zai se bat bhi ki.

Swat ki honahar talba aur Sitara Jurat ke liye namzad hone wali athween jamaat ki talba Malala Yousafzai per qatlana hamla ke bad zila bher mein security chaik poston per gair mamooli chacking shuru kea gaya jis ke baas garyon ki lambi qatarien lag gaien jis ke bad police aur security foresees ke jawano ne Mangora shahar ke mokhtalif ilaqon mein sarch operation shuru ker diya police aur security foresees ne shahar ke nawahi ilaqa Sharif abad, Khaja abad aur condex mein surch operation kiya zarae ke motabiq foresees ne surch operation ke duran motadid mushtaba afrad ko hirasat mein liker na maloom moqam muntaqil ker diya hai Swat mein aman ki bahali ke bad target clinging ka silsila waqfey waqfey se jari hai aur target clinging ke pehley shikar aman cumaition ke ser barahan they jin mein se aman cumaiti koza bandi ke ser barah Idrees Khan ko target kea gaya us ke bad Muslim League ke Subai concil ke member Afzal Khan ko ghar ke samne firing ker ke qatal kiya gaya. Iss ke bad Swat qaumi jirga ke rukun aur all Swat hotel association ke sadar Alhaj Zahid Khan ko iss waqt target kiya gaya jab woh Namaz e Isha ke liyeh ja rahey they. Alhaj Zahid Khan ne target killer ke sath mozahmat bhi ki mozahmat ke doran iss ko goli lagi jis se woh shadeed zakhmi ho gaey police ne sado Sharif police station mein na maloom afrad ke khelaf insedad dahshat gardi acket aur iqdam e qatal ke tehat moqadma darje ker leya gaya hai abb dekhna yeh hai ke police mulziman ki griftari mein kamyab hoti hai ya nahien lakin Swaat ki tamam seasi aur samaji halqon samait sharion ka motalba hai ke Malala yousuf Zai per honey waley hamley mein malawis mulziman ko griftar ker ke qarar waqi saza di jaye.

Asman per chamakte roshan sitare ki manind pur azam buland hoslon wali umeed bahar ka paigam aur aman ki safeer ban ker duniya ke samney aney wali masoom haseen aur zaheen pari Swaat ke shahar Mangora mein 12 July 1997 ko paida hue uske do chotey bhai haien aur woh akloti ladli beti hai. Uske walid Ziauddin Yousafzai apna School chalate hain woh shangla ke ilaqe Shahpur se Swaat aiye they aur phir yehan Mangora mein unhon ne private School ki bunyad rakhi unka kahna hai ke Malala Yousufzia bachpan se hi dusre bachchon se mokhtalif aur umer ki bachyon se zaida zaheen thi. Iss liyeh her class mein awal ati aur ghar per bachpan se hi sanjeda guftagu kerti 2007 mein jab Swat ke halat kharab huye wahan per aman tabah huwa to Malala Yousufzai ne inn halat ko madde nazar rakh ker farzi nam (Gulmakai) se diary likhna shuru ki. Malala Yousuf rozana ke halat o waqat ka jaiza leati aur Gulmakai diary likhti thi woh afsurda rahti ke uski parhai motasir horahi hai aur iss jaisi aur larkiyon ki parhai un halat ki nazar hogai ya to School band ker diya geya tha. ya unhein tabah ker diya gaya tha inhi dino inhi dino BBC Urdu Service ko Malala ne apne walid ki madad se Gulmakai ke naam se likhi gai tahrirein bejhna shuru kien jo baqaida chapna aur nashar hona shuru ho gaien.

Iss diary ko bainul aqwami shohrat hasil hogai Malala Yousufzia per do bainul aqwami media ke adaron ne dastawezi filmien bhi banaien jin mein Malala Yousuf Zai ne taleem per zor diya aman qaim hone ke bad Malala Yousafzai baqaeda media ke samney aie aur bataya ke wahi Gulmakai ke nam se ab tak diary likh rahi thi aur media ke mokhtalif adaron ko rawana bhi kerti thi. Malala ne media per aker interviews bhi diya woh apne School ke dobara khulney per botot khush thi inn khidmat ke siley mein usey Holland ki bainul aqwami tanzeem kidswrite inter national children for piesne almi award ke leyeh namzad kea sabiq Wazeer eAzam Pakistan Syed Yousuf Raza Gilani ne Malala ko qaumi aman award aur panch lakh rupey ka inam bhi diya khas bat yeh hai ke yeh qoumi aman award her sal Malala ken am se 18 sal se kam umer bachchon ko unki gair mamuli salahyaton ki bunyad per diya jaey ga issi tarah Sitara Jurrat ke leyeh bhi Malala Yousuf ko namzad kea gaya hai Wazir Ala Shabaz Sharif ne bhi Malala ko Lahore bola ker Panch lakh rupey diya.

Wazir Aala Khyber Pakhtunkhwa Amir Haider Khan Hoti ne bhi Malala ko Panch Lakh rupe inam diya Malalam ko aik azaz bhi hasil ho gaya ke woh aik din ke leyeh Geo ki Pehli kam umer azazi repoter bani Malala future mein apne ilaqey mein aik Education Foundation qaim kerne ka irada bhi rakhti hai. Education Foundation ka ibtedai khaqa bhi bana liya hai jahan bachchon ko muft taleem di jaye gi. Malala pehle to doctor banna chati thi magar abb halat ko madde nazar rakhte huye woh wakeel ban ker siasat mein ana chati hai ta ke logon ko ziyada se ziyada sahultein pahoncha sake.

Malala Yousafzai received the prestigious European award Sakharov human rights prize in Strasbourg on Wednesday 20th November 2013. She is a first Pakistani girl who receives this award. Malala yousufzai recognize her bravery for demanding the right to Education in Pakistan. She said to the people that I am very happy and honored to be selected for this huge European Sakharov Award. Malala Yousufzai dedicated this award to which people who are working for human rights and Anonymous heroes. The Sakharov Prize also awarded the Myanmar’s Aung San Suu Kyi and Nelson Mandela the leader of South Africa in Past. In this page, you can see the information about the award ceremony of the Activist Malala Yousafzai.

Malala Yousafzai ko Europe ka sab se barha Prize Sakharov de diya gaya. Rose ke scientist aur human rights ke alambardar Sakharov ke naam par qaiym yeh award hasil karne wali wo pehli Pakistani hain. Ilm ki shama Malala Yousafzai ko aman ka Nobel inaam to na mil saka, magar Europe ka sab se barha Sakharov prize Malala ne hasil kar he liya. Strasbourg mein taqreeb mein Malala ko is award se nawaza gaya, jo is se qabal Myanmar ki jamhoriyat pasand rehnuma Aung San Suu kyi aur South Africa ke azeem leader Nelson Mandela ko diya ja chuka hai. Sakharov award hasil karne wali pehli Pakistani Malala Yousafzai ne kaha hai ke is aeham taqreem mein shirkat mere liye aezaaz hai. Is award se meri mazeed hausla afzaai hui hai. Main yeh award insane huqooq ke liye kaam karne wale gumnaam heroes ke naam karti hon. Strasbourg mein European union se khitaab karte hue Malala Yousafzai ka kehna tha ke Pakistan mein ab bhi mukammal taur par izhaar ki azaadi nahi. Pakistan mein ab bhi lig bunyadi insane huqooq se mehroom hain. Behtareen fauj se nahi, taleemi meyar behtar hone se hum taqatwar ban jaenge.

Malala Yousafzai Swat ki child assembly ki speaker bhi rah chuki hai aham bat yeh hai ke hukumati sitah per Malala Yousuf ko tahaffuz deney ke leyeh us se kaha gaya ke woh security le magar us ne security lene se inkar ker diya un ke walid ka kahna hai ke Malala Yousuf subah sawaire uthti hai namaz perhti hai taiyar hoti hai aur school chali jati hai. Books parna Computer ka istemal, Teaching, Room ki decoration jaise mashagil apna rakhe hein. Malala Yousafzai pasandeda khail cricket hai usey gulab ka phool pasand hai usey khaney mein sada chawal pasand hien woh kahti hai ke meri shohrat mein merey walid ke bad media ka botot bara kirdar hai unke walid ne bataya ke angrezon ke zamaney mein aik Afghan lakri ne jis ka nam Malalai tha talwar ke zareaya apne haque ke liyeh awaz uthai thi mujhey bhi uska nam Malalai rakhna chaheye tha keon ke meri beti ne apne haque ke liyeh talwar to nahien magar qalam ka sahara liya hai.

Dehshat gardi ki shikar Malala air ambulance ke zariye Birmingham New Queen Elizabeth Hospital muntaqil kiya gaya jahan Malala yousafzai ko treatment de jaye gi, iss maqsad ke lia hospital mein khususi intazam kiye gaya hain.
Sawat mein dehsatgardi ka nishana bane wali Malala Yousafzai ko aaj Friday 11 October 2013 ko Noble Inaam (Noble Prize ) milne ka Imkaan hai. Pakistani Qaum ki bahadur beti Malala Yousafzai Ko Amaan ke Noble Inaam (Noble Prize) ke liye bhi favorite karar diya jar aha hai.
Pakistani student Malala Yousufzai said that when she comes to Pakistan she would take part in politics. She said that she is the daughter of Pakistan and the people of Pakistan love her. Malala said that she would work in the education sector in Pakistan and other parts of the world. Malala Yousafzai said that she is proud to be a Pakistani.

Pakistani student Malala Yousufzai ne kaha hai ke wo siyasat mein akar Pakistan mein haqiqi tabdeli lana chahati hain. Bartanwi nasharyati adare ko interview dete waqat Malala ka kehna tha ke wo Pakistan ki beti hain aur Pakistan mein siyasat karein gi, unhon ne kaha ke woe se mulk ki siyasatdan nahi bana chahati jo phele se taraki yafta ho balke ese mulk mein siyasat karon gi jis ko taraki ki zarorat hai.


Malala ke baqol wo Pakistan samet duniya bhar ke bachon ki taleem ke leye kaam karna chahati hain is waqat in ki tarih khana jungi ka shikar mulk Sham hai jahan nizame taleem darham barham ho chukka hai. Malala ne kaha ke unhan Pakistani hone par fakhar hai. Pakistani in se mohabat karte hain aur apna samajhte hain Pakistan mein taleem aur tawanai samet degar masail ko hal karne ki koshish karon gi.
Source;meriduniya11

No comments:

Post a Comment