Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Nawaz Sharif
Biography of Nawaz Sharif
In this page you will read Mian Muhammad Nawaz Sharif in Urdu and Roman urdu.Mian Nawaz Sharif 25 December 1949 lahore mein paid hoye. App nay ibtadai taleem Saint Anthony High School Lahore say hasil kiya aur Government Colleague Lahore say graduation kiya. Iss kay alawa app nay Punjab University say LLB ki Degree bhi hasil ki.
Taleem say farig honay kay baad khandan kay degar naujawano ki tara app bhi khandani karobar say munsaliq ho gaye aur mutadid company kay managing director aur director rahay.
Iss dauran apnay walid Main Mohammad Sharif kay zeer-e-saya “Itafaq Islamic Academy” kay naam say talemi adara qaim kiya iss kay sath sath is kay sarbarah Dr Tahir ul Qadri ko muqarrar kiya. Iss kay alawa “Ittafaq Hospital” kay naam say aik hospital bhi qaim kiya. Iss kay alawa app nay amali saisat mein bhi hissa liya. Khuch arsay baad Nawaz Sharif Punjab kay sobai council ka hissa rehnay kay baad 1981 mein Punjab kid sobia kabina mein bator wazeer-e-khazana huya.
1985 kay amm intaykahbat (General election) mein Mian Nawaz Sharif qaumi aur subai assembly ki seaton pay bhari aksaryat say kamyab huye. 19 April 1985 ko Nawaz Sharif nay Panjab kay wazir-e-alla ki hasyat say halaf uthaya. 31 May 1988 ko General Zaiaul Haque ki taraf say subai assembly ki barkhs tagi kay bad Mian Nawaz Sharif ko Punjab ka nigran Wazir aala namzad keya geya Janab Nawaz Sharif 1988 kay intaykahbat mein dobarah wazeer-e-Alla muntakhib huye unki iss muddat mein Mari aur Kahota mein zabardast taraqi hui. Iss kay sath sath Mohtarma Benazir bhutto ki hukumat kay sath sath unki ikhtilafat bhi chalti rahi unhon nay Mohtarmah Benazir bhutto kay khaylaf tahrek adam ataymad mein barh carh kar hissa leya lakin kamyabi hasil na kar sakay. Markaz aur suba Punjab kay darmyan kashidgi ki fiza baqarar rahi ta waqat kay 6 August 1990 kay roze Sadar Ghulam Ishhaq Khan nay Benazir Buttu kid hukumat khatam kar deya.
24 October 1990 ko honay walay intakhabat say qabal Awami National party, Pakistan Muslim league, Jamiat Ulema Islam aur sabiq COP mein intaykhabi mohayda tay paya aur un jamaton nay milkar IJI kay baynar talay intakhabat mein hissa leya. Iss ithad nay intaykhabat mein numayan aksaryat say kamyabi hasil ki aur 1 November 1990 kay roze Nawaz Sharif ko palimony leader chun leya geya. 6 November 1990 ko Nawaz Sharif nay Wazeer-e-Azam ki haisiyat say halaf uthaya. App nay pehlay daur hukumat mein kaye aham aqdamat keye lakin iskay sath sath people's party kay sath sath kashedgi ka silsila jari raha. Mulk ki saisi surathal tahal puri tarah bahal nahein hui thi iss par hukumat aur aik bari siasi jamat ki mahaz arai nay jalti par tail ka kaam keya. Benazir Bhutto ki tarah Nawaz Sharif bhi 5 (panch) saal puray nahi kar sakay aur President Ghulam Ishaq Khan nay unki hukumat ko bhi taqriban unhi ilzamat kay taihat rukhsat kar deya jo pehlay Benazir Bhutto ki hukumat per lagaya gaya thay. Agar chay mulk ki Adalat-e-Uzma nay aik ayni muqadmay kay baad unhain dobarah un kay uhday pay bahal to kar deya lakin phir bhi July 1993 mein Sadar Ghulam Ishaq Khan kay sath Mian Nawaz Sharif ko bhi apnay uhday say istayfa dayna para.
Nawaz Sharif kay dour mein niji shobay kay tawun say mulki sanat ko mazbot bananay ki koshish ki gayein. Ghazi Barotha aur Gwadar bandergha jaisay mansubay shuru keye gaye. Sindh kay bay zameen hariyon mein zameen taqseem ki gaien. Wasti Asia Muslim mumalik say taluqat mustahkam keye gaye. Iqtaysadi tawun ki tanzeem ko taraqqi de gai. Afghanistan kay bohran ko hal karanay mein madad die gai. Mulk ki nigran wazarat-e-Uzma pahlay Balakh sher Mazari aur phir Moin Qureshi ko mili aik bar phir intakhabat huye. Iss martabah People party ko kamyabi hasil hui. Benazir bhutto palimaney leader aur nai Wazir-e-Azam bani. Unkay daur-e- hukumat mein Nawaz Sharif datkar unki mukhalfat kartay rahay. Nawaz Sharif nay 2 June 1993 ko qaumi assembly mein Mehran bank scandal mein Sadar Pakistan kay maluwis honay kay sabot faraham keye.
12 June 1994 ko bujat par bahas kartay huyae kaha kay bajat masakh shudah haqayaq ka majmua hay 20 July ko aik baray jalsa e amm say khaytab kartay huay kaha kay ajj mulk ko tornay walon ki aulad aqtaydar mein hay. Mujhay aqtaydar milay na milay unhain jana hoga unhon nay Benazir hukumat kay khatmah kay leyeh tahryk najat ka alan keyah 4 November 1994 ko parlimant kay mushtarkah ijlas mein apozishan ki janib say zabardast ahtayjaj hua aur sadar kay khaytab ka mokammal tour par batkat keya geya. 5 November 1996 ko sadar Farooq Ahmad Khan Leghri nay Benazir hukumat ka khatma kar deya aur February 1997 mein election kar waye un election mein Mian Nawaz Sharif ko zabardast kamyabi huie aur woh dobarah wazir-e-azam bangaye 1970 kay intakhabat kay baad mulki ki tareekh mein pahli martabah koi wazir-e- azam atna bhari mended lay kar aqtaydar mein aya
Iss matabah wazir-e-azam bantay hi Nawaz Sharif nay athwein tarmem ka khatma kar deya jis kay tayhat koi sadar hukumat ko khatam kar nay ka akhtayar rakhta tha. Mulki satah par unhon nay “Qarz utaro, mulk sanwaro” ki iskeem kay tayhat awam say paisay lay kar mulki qarzay utarnay ki mohim shuru ki jo agarchay kamyabi say hamkinar na hosaki lakin awami yaqjehti ka aik mazhar ban kar samnay aye. Nawaz Sharif dour mein bhi establishment kay sath Nawaz Sharif ki khan cha tani ka silsila jari raha pehlay chief justice supreme court Sajjad Ali Shah say Mian Nawaz Sharif kay akhtalafat huye jis mein unhain kafi kamyabi rahi, iskay baad fouj kay sar barah General Jahangir karamat ko unhon nay rukhsat keya. Inn kamyabiyon nay unkay ataymad ko barah deya aur unhon nay Pak fouj kay dosray sarbarah General Pervaiz Musharraf ko bhi chand ikhtilafat ki bina par bar taraf kar na chaha lakin iss martaba unhain kamyabi hasil na hosaki. General Pervaiz Musharraf ki sarbarahi mein unkay khaylaf fouji bagawat huie aur fouj ka kirdar qaumi sayasat mein kam kar nay ki yeh dyanat daranah koshish unkay leyeh afat ban gaie.
12 October 1999 ko Fouj ki taraf say Nawaz hukumat khatam honay kay bad Nawaz Sharif par moqadma chala jo “tayara shazish case” kay nam say mashoor huya. Iss mein agwa aur aqdam-e-qatal kay ilzamat shamil thay. Pervez Musharraf kay sath aik khufia mohaiday kay baad Nawaz Sharif Saudi Arab chlay gaye. Aik arsa tak Nawaz sharif Jaddah mein moqem rahay iss kay bad mulk mein jamhuryat ki bahali kay leye unhon nay Mohtarma Benazir Bhutto kay sath milkar koshishon ka agaz keyah aur meshaq jamhuryat ki shakal mein aik tarykhi dasta wyz samnay layeh.
23 August 2007 ko adalat nay Sharif khandan ki darkhast par fayslah sunatay huay unki watan wapsi par hukumty aytayrazat rad kartay huyae puray khandan ko watan wapsi ki ayjazat daydi iss say pahlay Nawaz sharif ki watan wapsi ki aik koshish nakamy say hamkinar hochuki thie bahar hal iss martabah unhain apnay maqsad mein kamyabi hasil huie aur 25 November 2007 ko woh apnay khandan kay himrah Lahore pahonch gayae. Benazir bhutto ki shahadat kay bad honay walay 18 February 2008 kay intaykahbat mein Nawaz Sharif ki Muslim league nay bhar pur hissah leya aur Pakistan People party kay bad dusri jamat banker samnay aye. Nawaz Sharif nay un intaykahbat mein bazat e khud hissah nahi leya magar aik aham quait kay tour par seyasi manzer namay par moujud rahay. wukla tehreek kay daouran mazole Chief justice Iftekhar Muhammad Chaudhry ki bahali kay leye Nawaz Sharif nay bhar pur balkay kalidi kirdar ada keya iss kay alawa NRO jaisay badnam zamana qanun ko parliament say manzoor nahi karwanay kay silsilay mein bhi Mian Sahab ka kirdar sab say zayadah ahmeyat kay hamil raha.
Nawaz Sharif aik saisatdan hi nahein balkay iss say hat kar bhi aik saksiyat rakhtay hain. App ki raham dili aur darya dili apni aik shorat rakhti hai. khalon mein unhain cricket say lagaou hai. App khus-e-akhlaq bhi hain aur buchpan mein mashjid mein Naat Qiraat keya kartay thay. Iss waqt woh go mulk ki sarbarahi kay uhday par fayz nahin lakin agar ahmyat kay aitabar say daikha jaye to Nawaz Shareef ko Pakistani sayasat ki sab say aham saksiyat qarar deya jasakta hai. Mukhtalif mawaqay par honay walay sarway kay mutabiq who iss waqt Pakistan kay sab say baray maqbool leader hain. Mulk ki siasat kay haliya utar charaho aur unkay aqdamat ko daykha jaye to kaha jasakta hai kay inki maqbolyat anay walay aik taweel arsay tak barqarar rahay gi.
Source;urdubiography
No comments:
Post a Comment