Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Saeed Anwar
Biography of Saeed Anwar
Bayein (left) hath se khelne wale stylish balle bazon ka tzkirah ho to baat Pakistan ke mayah naaz Olympic batsman Saeed Anwar tak zaroor punche gi. Kalayi ki madad se dil aawez stroke kheilne wale is balle baaz se hareef balls khaif raha karte the. Aamir Shohel ke sath in ki jori ko Majid Khan aur Sadiq Muhammad ke baad Pakistan ko milne wala behtareen Olympic pare qarar dia ja skta hai.
Saeed Anwar ke career ka aaghaz mayoos kun tha. 1990-1991 mein West Indies ke khelaf test series chal rahi thi keh Pakistan ke regular opener Rameez Raja
zakhmi ho gaye , in ki jagah Saeed Anwar ko Faisalabad ke doosre test match mein jhok dia gia aur aik aisi khatarnaak pitch par, jo na humwar bounce le rahi thi, Saeed Anwar donon innings mein sifar par out ho gaye. Tahum selectors in se mayoos na huye aur inhein dobara moqa dia gia jis se Saeed Anwar ne pura faida uthaya, yahan tak keh jb vo retired huye to in ka shumar dunya ke saf e awwal ke cricketer mein hota tha. Goya in ke career par yeh filmi sher sadiq aata hai.
Rote huye aate hain sab, hunsta hua jo jaye ga
Vo moqaddar ka sikandar …… jaan e man, kehlaye ga
Saeed Anwar 6 September 1968 ko Karachi mein paida huye. NED University se Computer Science mein Engineering ki digree li aur cricket ki dunya fatah karne nikal khare huye. Vo bunyadi tor par bayein hath se jarhanah andaz mein kheilne wale balle baaz the jab keh kabhi kabhar left arm slow baller ka kirdar bhi nibha lete the. Saeed Anwar ne pehle pehal Maleer jam khana mein shamoolyat ikhtiyar ki, phir 1984-85 mein “KCCA “ ne inhein select kar lia, baad mein inhon ne UBL, ADBP Lahore , National Bank aur Pakistan ki numaindagi ki.
Saeed Anwar aksar ”of stamp” ki taraf andha dhun andaz mein jhapatte the lekin inhein rokne ka koi faida nahi tha kiun keh yahi in kay liye runs banana ka sb se zarkheiz elaqa tha. One day cricket mein jb ibtdayi 15 overs kay liye fielding kay hawale se baaz pabndiyan aaid ki gayin to Saeed Anwar fifty banane kay liye goya race lagaya karte the aur apni teem ko aksar flying start dia karte the. Saeed Anwar match winning innings khelne ki poori salahiyat rakhte the. Cricket kay buhat se qdamat pasand mahereen ne of stamp ki janib yalghar karne ki Saeed Anwar ki kamzori par ungliyan uthayi hain lekin sachi baat yeh hai keh jis balle baaz ne “ of stamp” ki bhool bhoolaiyon par mabni ghair yaqini duna ko masakhar kia vo Saeed Anwar hi the. Jb vo “of stamp” ki taraf gend ko dhoondne nikalte to aisa maaloom hota tha keh jaise bijli kond rahi ho. Vo balle se gend ko aise marte the jaise hthora mar rahe hon. Aksar Saeed Anwar kay balle se milaap kay baad gend bijli ki si tezi se boundary line ki taraf jati thi, jise rokne kay liye kisi buhat hi ji dar fielder ki zaroorat hoti thi. Of stamp kay ghir yaqini corridor ka jitna safar Saeed Anwar ne kamyabi kay sath tai kia, itna kisi hum asar balle baaz ne na kia hoga. In ki sb se bari khoobi hi “ of stamp” kay samandar mein jaal dalna aur wahan se runs kay rung birange moti nikalna thi.
Saeed Anwar ne one day career ka aaghaz 1st January 1989 ko parth mein West Indies kay khelaf kia jab keh test career ki shururaat November 1990 mein West Indies kay khelaf Faisalabad mein ki thi. Saeed Anwar ne 55 test matches mein 45.52 ki osat se 4052 runs, 11 centuries, aur 25 nisf centuries ki madad se score kiye. In ka sb se bara test score 188 runs not out raha. Saeed Anwar ne 247 one day international matches mein 39.21 ki osat se 8824 runs bnaye jis mein centuries ki taadad 20 aur nisf centuries ki 43 rahi. In ka sb se bara score 194 runs tha. Jo inhon ne May 1977 mein Chanaye mein khelte huye Bharat kay khelaf banaya tha. Is yaad gar innings mein 22 choke aur 5 chakke bhi shamil the. Yeh Saeed Anwar ka din tha, jb inhon ne Bharti baling ka bhar kas nikal dia. Yeh one day international cricket ka sb se bara infiradi score bhi tha, Saeed Anwar ka aalmi record taweel arse kay baad Bharat kay Sachin Tendulkar ne tora. 1997 mein visdon ne Saeed Anwar ko 5 behtareen cricketers ki fehrist mein shamil kia. Apne 14 salah career mein kayi nasheb o faraz dekhne kay baad Saeed Anwar ne bala aakhir August 2003 mein international cricketer se retirement ka eilaan kar dia.
Aakhir mein Saeed Anwar ki zindagi ki mein aane wali is tbdili par nazar dalte hain jis ne inhein aik sharer aur khilandre nojawan se mazhabi insane bana dia. Saeed Anwar mein is tbdili ki wjah in ki choti beti ki mot bani. Aaj bhi 3 ½ sala Bismah kay zikar par Saeed Anwar ki aankhon se aansoyon ka darya beh nikalta hai. is bachi ki tbiyat achanak hi bigar gayi thi , Saeed Anwar ise le kar apni ahliyah doctor lubna kay sath hospital ja rahe the keh raaste mein hi Bismah ne tarap tarap kar baap ki god mein dam tor dia. Saeed Anwar batate hain keh shiddat gham se vo cheekhne lage aur apni bachi ko pukarte rahe lekin bhala jane wale kb laut kar aate hain….. is andohnaak waqaye ne Saeed Anwar ko cricket hi nahi dunya ki har dilchaspi se door kar dia , inhon ne goshah tnhayi mein panah dhoonne ki koshish ki lekin wahan bhi sakoon na mila bala aakhir Allah se lo lagayi aur is tarah toote huye dil ko qarar aaya. Baqol Saeed Anwar “agar Allah tala mujhe apni taraf na bulate to shayad mein diwangi ki had tak ja puhanchta . Allah ne hi mujhe sahara dia aur sabar ata farmaya. Ab mein ne apni zindagi dini aur falahi kamon kay liye waqf kar di hai. Aaj kal Saeed Anwar aur in ki ahliya ka ziada tar waqt gharibon aur hajat mandon ki khidmat o ayadat mein guzar ta hai. Kaha ja skta hai keh Mister se Molana tak……… Saeed Anwar kay is safar kay doran shaiqeen crickter to aik stylish balle baaz se mehroom ho gaye lekin buhat se zaroorat mandon ko in ka masiha mil gaya.
Source; 136
No comments:
Post a Comment